ho aaj mazhab koi ek aisaa naya doston is jahaan mein chalaya jaaye jisamein insaan insaan banke rahe aa aur gulshan ko gulshan banaya jaaye o aaj mazhab koi ...
aa jisase badhakar koi kitab nahin are jiska milta koi jawab nahin umr bhar chadh kar jo nahin utare vo nasha hai magar sharab nahin use pyaar zamaanaa kahataa hai uska deewana rehta hai ye aisaa hai rangeen nasha ye jitna chadhe utna hi mazaa hontho pe gulab yahi to hai aankhon mein khwab yahi to hai gaalon pe shabaab yahi to hai ghunghat mein hizaab yahi to hai honthon pe gulaab aankho mein khwaab gaalon pe shabaab ghunghat mein hizaab yahi to hai yahi to hai yahi to hai yahi to hai isako paayaa miiraa ne isako hii gaayaa kabiiraa ne o har ruuh ki aavaaz hai ye sabase sundar saaz hai yeh jis se roshan padosii kaa aangan rahe vo diya har ghar mein jalaya jaaye jisamein insaan...
aa ye chaav bhi hai aur dhup bhi hai rup bhi hai aur anup bhi hai ye shabnam bhi angaar bhi hai ye megh bhi hai malhar bhi hai are isamain duniya ki jawani hai ye aag ke bhitar paani hai ye ruh ka ek sarovar hai qatare mein ek samandar hai shaayar ka hasin tasavvur hai sangeet ka ek svayamvar hai ye sabko sab kuchh deta hai aur badale mein badale mein badale mein bas dil leta hai dil leta hai dil dil dil dil dil leta hai iska jo karam aaj ho jaaye to ye mehfil bhi jannat si ho jaaye jisamein insaan...